WelCome

Bewafa Shayri

Kya gham hai, kya khushi malum nahi,
apna hai ki ajnabi malum nahi,
jiske bina ek pal nahi guzarta,
kaise guzregi ye zindagi malum nahi…
________________________________________
Kisi Se Bewafai Itni Bhi Na Karo Ki,
Unhe Pyar Par Naaz Karne Ka Mauqa Bhi Na Mile.
Kisi Ka Dil Itna Bhi Na Todo Ki,
Fariyaad Karne Ka Ek Tukda Bhi Na Mile…
________________________________________
Dil ki baaton ka matlab na poocho
Kuch tadpe hai iss tarah humse na poocho
Unn purane yaadon ko dil mein dafn kar liya humne
Meri parchai se aab unke yaaden judee hai humse na poocho…
________________________________________
Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh Humse wafa ki baat karte hai
Yeh kaisi chahat hai yaro
woh bewafa hai yeh jaankar bhi
Hum ussi se bepanah pyar karte hai …
________________________________________
Hotho ki baat ye aansu kahte hai.
chup rahte hai phir bhi bahte hai.
in aansuo ki kismat to dekhiye
ye unke liye bahte hai jo dil me rahte hai.
________________________________________
Din Beet Jate Hain Suhani Yaadein Banker,
Bate Rah Jati Hain Kahani Bankar,
Par Pyar To Hamesha Dil Ke Karib Rahega,
Kabhi Muskaan To Kabhi Ankhon Mein Pani Bankar…
________________________________________
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai…
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai’
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai…
________________________________________
Hum phool nahi per mehekna jante hain,
Bin roye gam ko bhulana jante hain,
Log khush hote hain humse,
kynki bina mile hi hum rishtey nibhana jante hain…
________________________________________
Acha hua maloom ho gaya,
Apno ki mohabbat ab mohabbat nahi rahi,
Warna hum toh apna ghar bhi chord rahe they,
Unke dil main rehne ke liye …
________________________________________
Rone ki saza na rulane ki saza hai,
Ye dard mohabat ko nibhane ki saza hai,
Haste hai to aankhon Se nikal aate hai aansu,
Ye us shaks se dil lagane ki saza hai…
________________________________________
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain
Aur phir se laut jati hain..
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain…
________________________________________
Agar Bhigne ka itna hi shoq hai baarish me
To Dekho na meri aankhon me
Baarish to har ek ke liye hoti hai
Lekin ye aankhein sirf tumhare liye barasti hain…
________________________________________
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi…
________________________________________
Pathar ki hai duniya Jajbaat nahi samajti,
Dikl me kya hai vo baat nahi samajti
Tanha to Chand bhi hai sitaron ke beech,
par chand ka dard vo raat nahi samajti…
________________________________________
Aansuon ko palkon pe laaya na kijiye.
Dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye…
Log mutthi mein namak liye firte hain..
Apne har jakhm dikhaya na kijiye…
________________________________________
Jaane kyu log hame aajmate hai
Kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai
Sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad
Log barish ko bhul jate hai…
________________________________________
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe…
________________________________________
Mahfilein Sajti Hai Roz, Sajti Rahengi
Jaam Hote Nahi Sab Peene Pilaane Waale
Aasteen Mein Chhuriya Leke Ghoomte Hai Sab
Dost Hotey Nahi Sab Hath Milane Waale…
________________________________________
Dil Ke Khareed Daar Toh Hazaar Mil Jayenge
Dhokha Dene Wale Aapko Hazaar Mil Jayenge
Hum Jaisa Dost Na Mil Payega Aapko
Bewafa Yaar Toh Beshumaar Mil Jayenge…
________________________________________
Uske Bina Ek Pal Bhi Guzara Nahin
Kisi Aur Ko Humne Dil Mein Utara Nahin
Rukna Kyat Ha Hum Toh Saans Bhi Rok Lete
Par Tumne Dil Se Kabhi Pukara Nahin!

4 comments:

adhitzads

Most

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Part Time Job

BidVertiser

Popular Posts

Join And get AD For Your Site